Searching...
Tuesday 21 March 2017

खोये हुए Jio 4G SIM को खुद से Online Deactivate कैसे करे

21:41
Agar aap Reliance JIO ke user hai to ye post specially aapke liye hai. Jio ne apne user’s ke liye ek aur service ki shuruat ki hai. Is service se kayi saare Jio mobile user’s ki abhi aur aane wale kal ki problem asaani se solve ho payegi. Reliance Jio ki is service se aap bahut asaani se apne khoye huye Jio 4G SIM deactivate kar sakte hai. Ji haan bina kisi problem ke aap khud se online ye kar sakte hai. Jio ne haal hi me is feature ko launch kara hai. Isse Jio ka koi bhi user online website ya phir app ke jariye apne khoye huye Jio 4G SIM ko block kar sakta hai.
Doosri telecom company ki SIM agar kho jati hai to hume sabse pehle Police station ja kar FIR karana hota hai. Phir customer care se baat kar ke aage ki process follow karne hote hai. In sabhi process ke complete hone par Mobile telecom company hamare SIM ko deactivate karti hai. Lekin ab nahin Jio ke sath aise koi bhi protocol nahin hai, isme user khud apni SIM ko deactivate kar sakta hai. Agar  aap is site ke regular visitor hai to aapko meri Jio security app wali post ke bare me jarur pata hoga. Isme maine Jio mobile khone par mobile ka location kaise pata karte hai is bare me bataya tha.
Agar aapki Jio ki mobile kho gaayi hai ya phir SIM kisi ne chori kar liya hai. To aaj ke post me mai aapko step by step yehi batane wala hoon ki aap apne khoye huye Jio 4G SIM ko deactivate kaise karenge. Lets start!

Jio 4G SIM Deactivate Process In Hindi

  1. Sabse pehle www.jio.com site ko open kare.
  2. Ab apni ID and Password se login kijiye. 

3. Login karne ke baad settings icon par click kare.  Ab Suspend and Resume ko open kare aur SUSPEND button ko dabaye. Button press karne ke baad aapse SIM deactivate karne ka kaaran poocha jayega. List me se koi bh kaaran select kare aur phir finally SIM deactivate kar lijiye.



4. DONE! aapka Jio SIM deactivate ho gaya hai. Agar aapka khoya hua SIM dobara aapko mil jata hai to aap phir se apni SIM ko activate kar sakte hai. Iske liye same process hai bas aapko SUSPEND ki jagah RESUME button ko click karna hoga.


    Jio ne apne user’s ke liye bahut kuch bilkul asaan sa bana diya hai. Ye mai aap dono hi jaante hai ki Jio jaise serivice aur feature filhaal koi doosri telecom company nahin de rahi hai. So dosto agar Jio 4G SIM deactivate post achha laga ho to please is post ko social media site par dooso ke sath bhi share jarur kare. Latest tips and tricks ke liye site par dobara visit kare, Thank YOU.
Next
This is the most recent post.
Older Post

0 comments:

Post a Comment